Micromax Canvas 5 : Hinglish Review



Micromax Canvas 5 : Hinglish Review



Micromax ne apna Canvas 5 launch kiya tha aur price rakhi thi 11999/- jo ki ab seedhe Moto G3 ko takkar dega price me ! Maine yeh nahi kaha ki Moto G3 ko hi takkar dene laga hai.Hamne Micromax se request ki thi Review unit ki par unka reply ni aaya ! Ab voh India ki number one company hai aur hame kyu reply krne lagi ?
Chaliye ab Phone par bat hojaye  - 

Design and camera 
Curvy edges hai jo ki Apple ka design hai aur metallic frames hai isme side per jo ki premium feel dete hai .

THE CURVY DESIGNS

Back panel per  faux-leather feel hai jo Micromax me naya hai .142 gram ka hai yeh phone aur kaafi light hai. The Full HD screen per  441 pixels per inch hai jo ki bahut hi bdiya hai. Phone hold krne me bahut easy hai .

Camera dekhe toh ,  13MP camera acha hai aur  4,128 x 3,096p reso ki click krta hai . Front me 5 MP Camera hai flash ke saath. 

CAMERA TEST

Colors ache aate hai good lighting condition me aur low light me bhi average hai. Front Camera me beauty mode bhi hai jisse aap kuroop se suroop ho jayenge .  Micromax Canvas 5 smartphone me dual video option bhi hai jisse aage aur piche dono camera ka recording ek sath hojayega ! 

CAMERA TEST FROM BALCONY

Performance and Hardware
Phone Lollipop 5.1 pe chalta hai aur Micromax ki custom UI hai jo ki koi khaas nahi hai . App drawer ni hai matlab Iphone 6 se phone inspire hai .Bloatware ka raja hai yeh phone aur bahut saare apps preinstalled hai jaise - Voonik, Scandid, Quikr and Snapdeal , Par is phone me aap yeh sab apps uninstall kr skte hai ! 

Company ne Marshmallow update ke liye bhi kaha par ispe yakeen krna bahut mushkil hai past record dekhte hue !

Isme Octa-core 1.3 GHz processor aur 3GB RAM. Saathme milkar yeh ab tak ka best Micromax performance dete hai aur  hamne isme kaafi games try kiye aur bahut hi bdia treeke se isne kaam kiya hai .

Phone me heating hai hi kyuki Micromax ne phone thand ke aas pass launch ki hai aur logo ko garmni deni hi pdegi Micromax ko.

MicroSD ka  32GB support hai , Lag nahi krta yeh device aur speaker bhi kaafi loud hai ha but best in class nhi ke skte. 

PHONE FROM BACK

FM hai aur bina headphones ke bhi chal jayega yeh. 2G, 3G, 4G, Wi-Fi, Bluetooth 4.0 aur microUSB hai . A 2,900 mAh battery theek hai bat ek din se zyada ke liye nahi !
Gesture hai phone me kai jaise double tap to wake etc etc . jo ki Micromax ke phono me 2013 se hai .

Verdict
Micromax ne kaam theek kiya hai bas thoda Camera acha laga dete toh kya bigad jata . Samsung J5 or Moto G3 ke camera better hai is price range me toh Camera vale na le toh better hai .Sunlight me screen ki jaan chali jati hai aur kuch dikhta nahi hai .Gaming valo ke liye bdia hai device aur battery backup valo Lenovo P1 aur P1M dekhlo link dedete hai . 

Lenovo P1 Review - http://www.techbird.in/2015/11/lenovo-vibe-p1-hinglish-review.html 

Agr apko hamara Hinglish review  acha lga ho toh isse share kare aur hame plz comment kare . Apka comment hame aur Hinglish reviews ke liye inspire kare ga ! . 


Techbird.in
Previous
Next Post »